Sunday 26 February 2017

EASY AND QUICK MAKEUP TUTORIAL

Hello everyone aaj ek bar phir ek new post ke sath mai aapke liye ek Tutorial lekar aayi hu jo ki bohot simple and quick makeup tutorial hai. Koi bhi ise easily kar sakta hai. Aap working women hai ya collage girl ya koi house wife, aap sabhi is makeup look ko try kar sakte hai. Jo ki bohot easy hai or bohot jaldi ho jata hai. To aaiye step by step dekhte hai makeup look ko kaise create kiya jata hai.


  • Sabse pahle hum aloe vera jel lagaenge yeh as a primer work karta hai skin par. Or is se skin bhi healty rahti hai.
  • ab hum foundation apply karenge. maine is look ke liye MAC ke foundation ka use kiya hai. Aap koi bhi foundation apply kar sakte hai. hume acchi tarah se pure face par or neck par foundation ko lagana hai. Foundation makeup ka base hota hai foundation lagane se skin tone even ho jata hai. Or face accha dikhta hai.


  • Ab hume face powder apply karna hai. Iske liye face powder sponge me thoda sa face powder lenge or use face par or neck me acchi tarah se apply karenge. Yeh hume ek soft or natural look deta hai.
  • Ab hum eyes par eyeshadow lagaenge is look ke liye maine Miss Claire ke eyeshadow & blush palette ka use kiya hai.aap koi bhi eyeshadow palette ka use kar sakte hai. Is palette se brown eyeshadow ko hum eyelead par lagaenge.
  • Ab hume eyes me kajal lagana hai. Mai yaha ADS kajal pencil ka use kar rahi hu.aap koi bhi kajal pencil ya kajal ka use kar sakte hai. hum Kajal ko apni dono eyes ki lower water line par acche se laga lenge .

  • Ab hum apni eyes par eyeliner lagaenge. Maine yaha just gold ke eyeliner ka use kiya hai aap koi bhi eyeliner use kar sakte hai. eyesliner se eyes badi or sundar dikhti hai.
  • Ab hum apne cheeks par blush apply karenge. Mai yaha miss Claire ke eyeshadow & blush palette ka hi use kar rahi hu. Aap koi bhi blush use kar sakte hai. Kyunki yeh simple makeup look hai isliye yaha hum bohot kam blush apply karenge.
  • Ab hum lipstick lagaenge. Or apne makeup look ko ek final touch denge. To Lipstick ko acchi tarah se lips par laga lena hai. Maine yaha just gold ki lipstick ka use kiya hai aap koi bhi lipsticks apply kar sakte hai.


To humara yeh simple and quick makeup look complete hota hai. Or aap is makeup look ko kabhi bhi try kar sakte hai. Yeh makeup look collage girls or working womens ke liye perfect hai. Or housewifes bhi is makeup look ko try kar sakti hai. Yeh bohot hi jaldi ho jata hai or aapko ek natural look deta hai.

No comments:

Post a Comment

Patanjali Home Facial Tutorial Hello friends aaj mai aapke liye lekar aayi hu patanjali products se ghar par hi facial kaise kiya jata ...