Friday 31 March 2017

Patanjali Home Facial Tutorial

Hello friends aaj mai aapke liye lekar aayi hu patanjali products se ghar par hi facial kaise kiya jata hai. hum jab parlor me facial karwane jate hai to humare bohot sare rs. kharch ho jate hai kyunki parlor me facial ka cost jyada hota hai or waha use hone wale products se skin infection ka dar bhi hota hai. to guys patanjali ke products ke bare me aap sabhi ko pata hi hai ki patanjali ke product kitne affordable hai or easily available bhi ho jate hai to maine socha ki kyun na in products se facial kiya jaye. to mai aapke liye lekar aayi hu patanjali products se facial karne ka tarika. 


  • CLEANSING -    To Guys facial ka first step hota hai cleansing to hume sabse pahle pantanji ke  facial foam ka use karna hai (aap chahe to patanjali ke kisi dusre face wash ka use bhi yaha par kar sakte hai) or is se apne face par 5 minutes tak massage karni hai or phir face wash kar lena hai. yaha humara 1st step complete hota hai.

  • SCRUBBING -   Facial ka 2nd step hota hai scrubbing to scrubing ke liye hum patanjali ke apricot face scrub ka use karenge is scrub se face par 10 minutes tak curricular motion me massage karna hai. scrubing se ki dead skin nikal jati hai or face fresh n glowing ho jata hai to hum 10 minutes tak massage karenge or uske bad normal water se face wash kar lenge.




  • MASSAGE -    Facial ka 3rd step hota hai massage or massage karne ke liye hum patanjali ke saundarya  aloe vera gel ka use karnenge (aap chahe to patanjali ke normal aloe vera gel ka use bhi kar sakte hai) or kyunki yeh ek gel hai to ise cream ki consistency ki tarah banane ke liye hum isme 1 vitamin E ki tablet ka oil lenge or use gel ke sath acchi tarah mix kar lenge. or is mixture se face par 15 minutes tak curricular motion me massage karenge. jisse ki ye aloe vera gel or vitamin E ka oil puri tarah se humare skin me absorb ho jae. alo vera gel ke benefits to aap sabhi ko pata hi hai or vitamin E bhi face or hair ke liye bohot accha hota hai. to 15 minutes massage karne ke bad hum face ko normal water se wash kar lenge.


  • FACE PACK -   Facial ka 4th step hota hai face pack to hum face ke liye patanjali ke neem & aloe vera face pack ka use karenge. face ki patli si layer face par apply karna hai or 10-15 minute tak face par lage rahne dena hai ( aap chahe to yaha patanjali ke kisi or face pack ka use bhi kar sakte hai). or phir normal water se face wash kar lena hai.

  • MOISTURIZING -   Facial ka last step hota hai moisturizing to moisturizing ke liye hum patanjali ke plain aloe vera gel ka use karenge. or aloe vera gel ko apne face par acche se apply kar lenge.

to guys yaha par humare facial ki sabhi steps khatm hoti hai or humara facial complete hota hai.




guys aap upar diye video ko dekhkar bhi facial kar sakte hai. to is se aapke liye or bhi easy ho jaega is facial ko karna. or is facial ko karne ke bad 1 tak koi bhi face wash ya soap ka use nahi karna hai. 1 day bad aap soap ya face wash use kar sakte hai. to guys aap bhi patanjali ke products lekar aaiye or ghar par hi facial kijiye.


Sunday 12 March 2017

HOLI SKIN, HAIR & BODY CARE TIPS 

Hello friends holi aa gayi hai or holi ka name sunte hi humare mind me kuch cheeze aati hai jaise colours, gujiya, mithai, bohot sari masti. holi ko rango ka tyohar bhi kaha jata hai, kyunki holi colours ke bina adhuri hai. Or colours sabhi ko apni taraf attract karte hai isliye unse khele bina raha bhi nahi ja sakta. 


But ye colours pahle ki taraf safe nahi hote hai. Aaj kal jo colours holi me market me milte hai unme bohot se chemicals hote hai, chahe wo sukhe colours ho ya pakke colours.
But holi me colours ko to avoid nahi kar sakte par inke bad effect se kuch had tak bacha ja sakta hai. 
To aaj mai aapko aise hi kuch tips batane wali hu jo holi me aapke liye bohot hi useful honge or aapko help karenge. To aaiye jante hai ki wo tips kya hai.
  • Holi humesha sukhe colurs or gulal se hi khele, kyunki sukhe colours easily body se nikal jate hai or hume jyada harm bhi nahi pahuchate. Iske bajaye pakke colours bohot harmful hote hai or body se easily nikalte bhi nahi hai. Aap natural colours se bhi holi khel sakte hai jaise heena, turmeric, tea leaves etc.




  • Holi me clothes ka bhi dhyan rakhe. Cloths aise pahne jo aapki full body cover kare jisse colours bhi aapko jyada ifect na kar paye or holi ek outdoor activity hai to sun tan se bhi cloths aapko protect karenge.




  • Holi khelne se pahle apni body, skin or hair pr oil massage jarur kare. Oil ki wajah se aap par lagne wale colours easily body se nikal jaenge or aapko jyada harm bhi nahi pahuchaenge.




  • Holi khelte time aap sunglass jarur pahne. Jisse colours bhi eyes me nahi jaenge or aapki eyes ko koi nuksan bhi nahi hoga.




  • Holi ek outdoor activity hai to aap par sun light aaega. To holi khelne se pahle koi accha sa sunscreen jarur lagae.


  • Kai bar holi ke colours aapke nails or naiks k aas pas bhi lag jate hai or easily nahi nikale, isliye holi khelne se pahle apne nails par nail paint jarur lagaye. Jisse colour easily aapke nails se nikal jaega.


  • Aapka parlour routine jaise wax, bleach, facial etc. aap holi ke bad hi Continue kare. Kyunki agr holi se pahle aap ye sab karwate hai to ho sakta hai holi ke colours aapke pours me chale jae or aapko harm pahuchae. Isliye agr aap holi ke bad parlour routine karte hai to agr koi colour aapki skin par hai to wo parlour routine se easily nikal jaega.


  • Agr holi ka colour aapke skin se nahi nikal raha hai to ek pack banaiye, pack banane ke liye besan, nimbu, haldi, or dahi ko mix kar lijiye. Or is pack ko skin par jaha bhi colour laga ho laga lijiye. Is se aapki skin par laga colour easily nikal jaega.



To friends aap ye sabhi tips jarur try kijiye or holi me safe or protect rahiye colours se hone wale infection or harm se.



To friends yahi the mere kuch tips holi se related. I hope ki ye aap sabhi ko pasand aaenge or aapko ye help karenge.

Sunday 26 February 2017

EASY AND QUICK MAKEUP TUTORIAL

Hello everyone aaj ek bar phir ek new post ke sath mai aapke liye ek Tutorial lekar aayi hu jo ki bohot simple and quick makeup tutorial hai. Koi bhi ise easily kar sakta hai. Aap working women hai ya collage girl ya koi house wife, aap sabhi is makeup look ko try kar sakte hai. Jo ki bohot easy hai or bohot jaldi ho jata hai. To aaiye step by step dekhte hai makeup look ko kaise create kiya jata hai.


  • Sabse pahle hum aloe vera jel lagaenge yeh as a primer work karta hai skin par. Or is se skin bhi healty rahti hai.
  • ab hum foundation apply karenge. maine is look ke liye MAC ke foundation ka use kiya hai. Aap koi bhi foundation apply kar sakte hai. hume acchi tarah se pure face par or neck par foundation ko lagana hai. Foundation makeup ka base hota hai foundation lagane se skin tone even ho jata hai. Or face accha dikhta hai.


  • Ab hume face powder apply karna hai. Iske liye face powder sponge me thoda sa face powder lenge or use face par or neck me acchi tarah se apply karenge. Yeh hume ek soft or natural look deta hai.
  • Ab hum eyes par eyeshadow lagaenge is look ke liye maine Miss Claire ke eyeshadow & blush palette ka use kiya hai.aap koi bhi eyeshadow palette ka use kar sakte hai. Is palette se brown eyeshadow ko hum eyelead par lagaenge.
  • Ab hume eyes me kajal lagana hai. Mai yaha ADS kajal pencil ka use kar rahi hu.aap koi bhi kajal pencil ya kajal ka use kar sakte hai. hum Kajal ko apni dono eyes ki lower water line par acche se laga lenge .

  • Ab hum apni eyes par eyeliner lagaenge. Maine yaha just gold ke eyeliner ka use kiya hai aap koi bhi eyeliner use kar sakte hai. eyesliner se eyes badi or sundar dikhti hai.
  • Ab hum apne cheeks par blush apply karenge. Mai yaha miss Claire ke eyeshadow & blush palette ka hi use kar rahi hu. Aap koi bhi blush use kar sakte hai. Kyunki yeh simple makeup look hai isliye yaha hum bohot kam blush apply karenge.
  • Ab hum lipstick lagaenge. Or apne makeup look ko ek final touch denge. To Lipstick ko acchi tarah se lips par laga lena hai. Maine yaha just gold ki lipstick ka use kiya hai aap koi bhi lipsticks apply kar sakte hai.


To humara yeh simple and quick makeup look complete hota hai. Or aap is makeup look ko kabhi bhi try kar sakte hai. Yeh makeup look collage girls or working womens ke liye perfect hai. Or housewifes bhi is makeup look ko try kar sakti hai. Yeh bohot hi jaldi ho jata hai or aapko ek natural look deta hai.

Tuesday 21 February 2017

Easy Nail Art Design Idea

Hello friends aaj mai aapke liye lekar aayi hu ek aisa post jiski help se aap apne nails ko easily decorate kar sakte hai or unhe beautiful bana sakte hai.
Mai aaj aapko ek simple and easy nail art design batane wali hu jise banane me bohot kam time lagta hai or ye design koi bhi bana sakta hai. Ye bohot hi simple hai or dekhne me bohot hi accha lagta hai.
To aaiye dekhte hai ki wo design kaise banaya jata hai.




Yeh nail art design banane k liye hume kya kya lagega iske bare me jaan lete hai.
  • Koi bhi 1 nail paint
  • Nail art paint
  • Doting tool
  • Transparent final coat



Is nail art design ke liye hume sirf 4 cheezo ki jarurat hogi. Jisme se agr aapke pas doting tool nhi hai to aap dot banane ke liye uski jagah kisi pencil ya pen ke point ya hair clip ka bhi use kar sakte hai.
To aabse pahle hum ek nail paint apne nails par laga lenge( aap apne drees se match karta hua nail paint bhi choose kar sakte hai). Ab nail art paint ko kisi khali sheet par thoda sa alag nikal lenge jisse yah easily lagaya ja sake (aap apne dress ke match ka ya uske combination ka koi bhi nail art paint le sakte hai). Ab nail art tool ki madad se apne nails par dot dot banaenge. In dots ko thodi thodi gap me banana hai ise polka dot design bhi kahate hai. Apne sabhi fingers par dot dot banate hue design bana lenge. Nails par jb Design dry ho jae tb ek transparent final coat laga lenge. Or use dry hone denge.

 

Or Aapka Nail Art Design Ready Hai. Agar aap kisi party me ja rahe hai or aapke pas time nhi hai to aap yeh quick nail art design bana sakte hai.

             
Yeh bohot hi jaldi ban jata hai or bohot simple bhi hai. Or dekhne me bhi bohot accha lagta hai.

Wednesday 15 February 2017

DIY FACE PACK FOR CLEAR AND GLOWING SKIN

Hello everyone aaj ek bar phir mai aapke liye. lekar aayi hu ek natural remedy.Jisse aap instant clear or glowing skin pa sakte ho.
 clear or glowing skin banae rakhna har kisi ke liye bohot important hai chahe wah male ho ya female but aaj ke time me pollution or work load itna badh gaya hai ki chahte hue bhi hum apni skin ko fresh or glowing nahi bana pate hai. Or isi chah me hum kai aise product use karte hai jis se ki humari skin or jyada kharab ho jati hai. Ya phir hume us ka koi side effect ho jata hai or hume hajaro rs. Dr. Ke yaha apne ilaj me kharch karna padte hai. Isliye mai aapke liye lekar aayi hu ek natural tarika instant clear and glowing skin pane ka to aaiye dekhte hai..
kyunki yah ek home reamedy hai to iske liye hume jo bhi ingredients chahiye honge wo sabhi aapko apne kitchen me aasani se mil jaenge. Or kyunki yah ek natural tarika hai to aapko iske side effects ka bhi koi dar nahi hoga.to aaiye dekhte hai isme use hone wale ingredients. 


INGREDIENTS: 
  • Besan (1tsp)
  • Almond Oil (1tsp)
  • Milk (1tsp)
  •  Lemon juice (1/2 tsp) 
Sabse pahle hum ek bowl lenge us bowl me 1 tsp besan lenge, phir usme 1tsp almond oil , 1tsp milk or 1/2tsp lemon juice dalenge or sabhi ingredients ko acchi tarah se mix kar lenge. Sabhi ko mix karke thick pest bana lena hai. Ab ye pest ready hai face par lagane ke liye. To ab hum ise apne face par apply karenge. Or ise natural tarike se sukhne denge.  


15,20 min bad jab face dry ho jaega tab normal Pani se face ko acche se wash kar lenge. Face wash ke bad aap dekhenge ki aapki skin bohot hi soft,smooth or clear ho jaegi.



Is face pack ko aap daily ya 1 day ke difference me bhi use kar sakte hai. Iske use se day by day aapki skin orW bhi glowing or clear ho jaegi.    

Tuesday 14 February 2017

How To Get Natural White Teeth At Home Without Bleaching

Hello everyone mai aaj ek bar phir aapke liye lekar aayi hu ek home remedy danto ko naturally white karne ki. Danto ke pilepan ki problem aaj kal aam baat ho gayi hai or market me na jane kitne aise product hai jo dawa karte hai ki unke use se danto ka pilapan puri tarah se khatm ho jata hai. Par natija aapko un product ko use karne ke bad hi pata chalta hai or aapko nirash hona padta hai. Par aaj mai aapke liye ek aisi home remedy lekar aayi hu jisse danto ke pilepan ki problem puri tarah se khatm ho jati hai. Or jiske liye aapko alag se kharch karne ki jarurat nahi hogi kyunki jo ingredients hum use karne wale hai wo aapko aapke ghar me easily mil jaenge.
To iske liye hume jarurat hogi 2 aise ingredients ki jo aapko aapke kitchen me easily mil jaenge or aapko iske liye alag se rs. Kharch bhi nahi karna padenge to aaaie dekhte hai ki kya hai wo ingredients. Or unhe kis tarah se use kiya jata hai.


INGREDIENTS
  • Lemon
  • Baking soda
Lemon me Bleaching property hoti hai jo danto ke pilepan ko dur karti hai. Or soda Danto ki badbu dur karta hai or stain bhi remove karta hai. To aaiye dekhte hai ki inhe kis tarah se use karenge.


Sabse pahle hum ek bowl lenge usme 1 tea spon baking soda dalenge or half tea spon lemon juice dalenge. Dono ko acchi tarah se mix kar lenge. Jisse ki ye ek thick pest ki tarah ho jaega. Ab is pest se apne danto ko brush karna hai. Or brush karne ke 15 minute Bad aap chahe to apne kisi bhi normal toothpaste se danto me brush kar sakte hai.
But aapko dhyan rakhna hoga ki aaapo week me 1 bar hi is remedy ko prayog karna hai. Or jb dant white ho jae tab aap month me 1 bar iska prayog kar sakte hai.


Iske prayog se aapke dant naturally white honge or sanso ki badbu bhi khatm ho jaegi. To is prayog ko 1 bar jarur try kare.

Thursday 9 February 2017

PATANJALI KESH KANTI HAIR OIL 

Hello everyone aaj mai aapke liye ek review lekar aayi hu jo ki hai again baba ram dev ji k product me se ek Patanjali Kesh kanti Hair Oil ke liye. To aaiye dekhte hai..


 aap sabhi jante honge ki Hair oiling balo ke liye bohot jaruri hoti hai. Hair oiling ki wajah se hair growth acchi rahti hai, hair damage nahi hote, hair silky or shiny rahte hai. Or healthy rahte hai. Oiling kisi bhi oil se ki ho iska befit accha hi milta hai. Market me na jane kitne hair oil hai jo tarah tarah ke claims karte hai. Unme se kuch acche hote hai or kuch nahi bhi hote. To aise hi ek new product ke bare me hum baat karenge jo ki baba ramdev ji k store se hai or ayurvedic hai. To aaiye dekhte hai iski details.


PRODUCT DETAILS
  • Price Of Product - 130 rs. For 120 ml (100 ml+20 ml extra)
  • Method Of Use - Before going to bed at night, take required quantity of oil and massage gently over hair and scalp. Leave overnight and wash in tha morning.
  • Ingredients - BHT, Sugandhit dravya q.s (Base Material)
  • Life Of Product - 24 months
  • Color Of Product - mustard to olive
  • Smell - Smells to strong. jadi buti types n all. like other hair oil brands do.
  • It Claims - provides deep nourishment, strengthens roots, prevents hair fall and dandruff, prevents graying and split ends, useful in sleeplessness and headache.


MY EXPERIENCE WITH PRODUCT
Iska packaging bohot hi accha hai yeh ek flip-top cap wali plastic bottel k sath aata hai or travel friendly hai. Jo ki ek plus point hai is product ka. Baat kare oil ki to iski consistency thick hai. N scalp par lagane par ye dusre oils ki tarah hi aapko ek chipku look deta hai. Iski smell kuch logo ko irritate bhi kar sakti hai or kuch ko acchi bhi lag sakti hai agar apko is tarah ki hair oil smell pasand hai to. Ye claim karta hai ki ye split ends khatm karta hai. But abhi mujhe split ends nahi hai to mai iske bare me kuch nahi kah sakti. Deep nourishment ki baat kare to kisi bhi oil ko agar aap use katre hai to wo aapke hair ko deep nourish karta hai. Isliye mujhe ye koi nayi baat nahi lagi. Prevents hair fall n dandruff wale point par mai kahungi ki mujhe kuch time se bohot jyada hair fall ho raha hai or pahle to is oil ka mujh par mujhe jyada effect nahi dikha bt abhi last 2,3 applications se mujhe mere hair fall me thodi kami lagi hai to mai iske is claim ko true manti hu. Useful in sleeplessness ki baat kare to ye to agr aap kisi bhi oil se massage  karte ho aapko usse ek acchi sleep aati hai or aapka headache bhi kam hota hai to iska ye claim bhi thik hai



" and finally is oil ke use ke bad mera final review yahi hai ki yeh oil mujhe thik laga isne starting me mujh par koi iffect nahi dikhaya par bad me iska thoda iffect mujhe dikh raha hai.or agar mai ise continue use karti rahu to shayad mera hair fall khatm ho jaye. To mai aapko yahi suggest karungi ki agr aapko bhi hair fall ki problem hai to ek bar is hair oil ko jarur try kare.i am sure ki aapko bhi isse fayda hoga."

Tuesday 7 February 2017

How To Apply Heena On Hair

Hello Friends aaj ka post hai heena (mehandi) ke bare me. To mehandi k bare me to aap sabhi jante honge or aapne ise kai bar lagaya bhi hoga. Mehandi hatho me bhi lagayi jati hai or ise colour ke liye balo me bhi lagaya jata hai. 
Mehandi balo k liye bohot acchi bhi hoti hai ye colour to deti hi hai aapke balo ko iske alawa balo ko jhadne se rokti hai or aapke balo ko sliky or shiny bhi banati hai. To aaiye dekhte hai ise kis tarah se lagaya jata hai.


Heena lagane ke kai tarike hai or isme bohot si cheeze mix karke ise lagaya jata hai un sabhi tariko ko mix karke 1 tarika mai aapko batane ja rahi hu jo ki aapko pasand bhi aaega or aapke balo ke liye bohot useful hoga to aaiye jante hai us tarike ke bare me.
Ingredients for heena pest
  • Heena
  • Curd (dahi)
  • Lemon (nimbu)
  • Beetroot (Chukandar) powder
  • Kattha
  • Amla powder
  • Coffee powder
  • Beer 
  • Egg (anda)
In sabhi ingredients ko hum heena pest banane me use karenge or in sabhi ingredients me bohot sw vitamin, nutrition hote hai jo aapke balo kr liye bohot hi faydemand hote hai. Jisje hair growth badhti h, damage hair thik hote hai, hair shiny or silky hote hai, hair fall kam hota hai, or sath hi sath hair colouring bhi hoti hai.



to sabse pahle hum ek bowl me balo ki quantity ke according heena powder lenge usme dahi mix karenge or baki sabhi ingredients lemon, beetroot powder (agr powder na ho to aap chukandar ka pest ya chukander ka juice bhi le sakte hai), katta, amla powder, coffee powder, egg, beer sabhi cheezo ko acchi tarah se mix kar lenge (agar jarurat pade to thoda pani bhi mix kar sakte hai). Sabhi cheeze mix karke ek thick pest bana lenge. Or is pest ko half hour k liye aise hi rakh denge jisse sabhi ingredients acche se mahandi me mix ho jae.


Ab is pest ho apne balo me apply karenge ( aap hand Gloves ya brush ki madad se ise apply kar sakte hai). Jb pest sare balo me acchi tarah se lag jae To use 1, 1.30 hour tak aise hi rahne dijiye or phir normal pani se hair wash kar lijiye(yad rahe aapko shampoo se hair wash nahi karna hai. Aap chahe to 2nd day shampoo kar sakte hai.
Heena wash karne k bad aap chahe to hair me oiling bhi kar sakte hai. Agar oiling kare to balo ko 2nd day shampoo se wash kar le. 
Hair wash k bad aap dekhenge ki aapke hair pahle se jyada soft or silky ho gaye hai. Or hair me ek accha colour bhi ho gaya hai.

Hair After heena 
Heena ek natural tarika hai hair colouring ka. Or yeh bohot hi safe hai. Or isme milae gaye ingredients ki wajah se iske benefits or bhi badh jate hai.To aap bhi ise ek bar jarur try kijiye.

Sunday 5 February 2017

Patanjali saundarya Aloe Vera Gel 

kesar Chandan Review

Hello friends, Yog guru swami baba ramdev ji ne kuch time pahle ek naya product market me lounge kiya hai. Jo hai Patanjali ka saundarya Aloe Vera Gel. Is product ke review to aap pahle hi dekh chuke honge. Or maine bhi aaj apne review k liye is product ko choose kiya hai. To aaiye jante hai iske bare me.



Jaisa ki name se hi pata chalta hai ki ye ALOE VERA GEL Kesar or chandan ko mix kar banaya gaya hai. Or ye gel sirf aapke Skin k liye hai. Jabki patanjali ka jo dursa normal aloe vera jel hai us gel ko hum skin or hair dono k liye use karte the. Pr ye jo new gel hai use hum kewal skin par use kar sakte hai.


PRODUCT DETAIL
Price Of Product - 50 rs. For 60ml
Ingredients - Aloe Vera , Kesar , Chandan , Vitamin E , Base Material, Perfume.
Life Of Product - 18
Color Of Product - Golden Transparent Gel
Smell - Mixed Aroma Of Kesar And Chandan
It Claims - It Helps To Remove Pigmentation, Dark Spots and Increases Skin Tone, Also Help To Control Sunburn and Tanning.
My Experience With Product
Yeh Gel ek transparent tube me aata hai or iski packaging pahle wale aloe vera gel ki tarah hi hai. Jo ki bohot accha or travel friendly hai. Iski fragrance Kesar Chandan ki mixed fragrance hai. Yeh ek thick gel hai jo ki face par apply karne par easily Absorbe ho jata hai. Jo mujhe bohot pasand hai. Yeh gel sabhi skin types - normal, dry, oily k liye hai.


Method Of Use
Mai ise 3 type se use karti hu to ab hum un teeno types ke bare me jante hai.
  • Aap ise night me sone se pahle use kar sakte hai ye as a night cream work karega. To pahle agar aapne apne face par koi makeup kiya hai to us makeup ko saf kar lijiye or phir normal face wash se face wash kar liye (agr makeup nahi hai to normal pani se face wash bhi kar sakte hai). Ab face poch lijiye or halke hatho se massage karte hue Patanjali Saundarya Aloe Vera Gel Kesar Chandan Gel ko apne face par laga lijiye or ise aise hi rahne dijiye. Agle din subah halke gungune pani se face wash kar lijiye.
  • Subah nahane se 30 minute pahle is gel ko pane face par lagate hue massage karna hai. Or 30 min bad face wash kar lena hai.
  • Is gel ko nahane ke bad as a mouisturiser bhi use kiya ja sakta hai. nahane ke bad is gel ko face par massage karte hue lagaiye or ise aise hi rahne dijiye. Yeh ek mouisturiser ki tarah work karega or aapki sikn ko dry nahi hone dega.
 Mai ise night me lagana jyada pasand karti hu kyunki ye gel night me meri skin par jyada  acchi tarah se kam karta hai. Or mujhe ek Glowing Effect deta hai. Iske use se meri skin bohot hi Soft , Glowing or Smooth ho gayi hai.



" To mere is gel k bare me review positive hai. mujhe ye gel bohot pasand aaya hai. Yeh claim karta hai ki ye skin ke pigmentation or dark spot khatm karta hai or skin ko glowing banata hai, to iske sare claims sahi hai. Yeh isi tarah se work karta hai. Or ise continue use kiya jae to yeh hume bohot accha result de sakta hai. or mai bhi aapko yahi suggest karungi ki aap bhi isi ek bar jarur try kare.or mai sure hu ki aapko bhi yeh bohot pasand aayega."

Thursday 2 February 2017

Patanjali Aloevera Gel Review
Yog guru swami baba ramdev ji ne consumer market me apne bohot se indian product lounge kiye hai unme se hi ek hai Patanjali Aloevera Gel.
Mujhe bhi indian products kharidana pasand hai isliye mai bhi unke outlet k kai product try kar chuki hu. Or usi outlet k ek product ko review k liye aaj maine choose kiya hai jiska name jai patanjali Aloevera Gel. to dekhte hai is product k bare me.


Price of product - 80 rs. For 150ml
Ingredients - Aloe vera, Base materials, Permitted colour, Vitamin-E, Fragrance and Preservative.
Method of use - Rub on clean and dry skin and leave as such
Life of product - 18 month
Color of product -  Green transparent gel
It Claims - Useful for removal of pigmented spots


MY OPINION ABOUT PRODUCT
Mujhe ye product personally bohot pasand hai. Mai ise daily. Use karti hu. Mai kabhi bhi face wash k bad apne face pr ise hi lagati hu. Ye easily face me absorb ho jata hai or face ko ek smooth soft or cool effect deta hai. Or skin ko dry b nahi karta hai. Iski packaging b bohot acchi h to aap ise traveling k time easily. Carry kar sakte hai. 
To mera is cream pr finl review. Yhi hai ki ye ek bohot hi accha product hai. Aap ise daily use kr sakte hai or ye bohot affordable bhi hai. To ek bar jarur try kare. 

Tuesday 31 January 2017

How To Get Silky And Shiny Hair From Mayonnaise

Mayonnaise to aap sabhi ne use ki hogi par kya aapko pata hai ki mayonnaise ki madad se aapke hair ko aap silky and shiny bhi bana sakte hai. Agar nahi pata to aaj mai aapko batane ja rahi hu mayyonnaise ki madad se balo ko silky n shiny kaise kiya ja sakta hai..
Iske liye aapko ek plain mayonnaise(jisme koi bhi spices na ho) ka packet chahiye hoga jiski market cost h 35 rs. Or ye aapko easily kisi bhi Grocery store me mil jaegi.
Isme bohot se ingredients hote hai jaise ki soyabean oil,water,milk,lemon juice etc. jo ki aapke hair ko protein and nutrition dete hai or jo ki aapke balo k liye bohot hi acche hai. Iska texture creamy hota h or ye aapke baalo k liye bohot hi accha hai. To aaiye step by step dekhte hai ki hum kaise iska use karte hai..
  • Sabse pahle apne balo ko wash kar le or bina kisi heat product use kiye thoda sukha le(puri tarah se na sukhaye, thoda gila rahne de..gile balo par mayonnaise lagane me aapko aasani hogi.)


  • Ab apke hair k according jitni mayonnaise aapke hair me lagegi utni mayonnaise aap kisi bowl me nikal lijiye. Ab usme thoda sa lemon juice or thoda sa coconut oil mix kar lijiye. Is mixture ko acchi tarah se mix kar lijiye. Or ab yeh aapke balo me apply karne k liye ready hai.


  • Ab aapko ye mixture apne balo me acchi tarah se laga lena hai. Aap balo ko kuch part me alag alag karke bhi ise easily laga sakte hai. Pure balo me mixture lagane k bad aap ise 15 min aise hi rahne dijiye. uske bad kisi towel ko garm pani me bhigokar apne balo par use 15,20 min lagakr rakhe. Or phir normal pani se apne balo ko shampoo kar le.





  •  Ab apne balo ko bina kisi heat k normally sukhne dijiye. Balo k sukhne k bad aapko khud fark mahsus hoga ki aapke baal kitne shiny or silky ho gaye hai.


 Ye prayog aap week me 1 bar kar sakte hai. Or apne balo ko silky n shiny bana sakte hai.to agr aapne abhi tak try nahi kiya hai to 1 bar jarur try kare.

Patanjali Home Facial Tutorial Hello friends aaj mai aapke liye lekar aayi hu patanjali products se ghar par hi facial kaise kiya jata ...